Showing posts with label MOVIE SHAYARI. Show all posts
Showing posts with label MOVIE SHAYARI. Show all posts

Friday, 23 May 2014

ZINDAGI NA MILEGI DOBARA SHAYARI/POEMS

Toh zinda ho tum!

Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho.
Toh zinda ho tum!
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!
Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekho
Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!

Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Jab jab dard ka baadal chhaya
Jab gham ka saya lehraaya
Jab aansoo palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraaya
Hum ne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai?
Duniya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Bas Ek Tum Ho Yahaan

Pighle neelam sa behta hua ye sama
Neeli-Neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen, na kahin Aasmaan
Sarsarati hui tehniyaan, pattiyaan
Keh raheen hai ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon
Meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne hone par mujhko yaqeen aa gaya

Yeh Jaane Kaisa Raaz Hai

Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pahen ke honthon tak aa jaaye woh
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be awaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupta nahin
Yeh jaane kaisa Raaz hai

RAMLEELA MOVIE SHAYARI

Knife pe gire apple,apple pe gire knife
Sala phone nahi utha rha hai, call kar rhi hai wife…
Chakali,chuda,ghud,papdi aur samose
Mera to sab ram bharose..!
Namkin Nani, naughty nana hai
Mayke kab tak rahugi, Ram ke ghar jana hai..!
Jab Ram naam ka raag lage, Toh paani mein bhi aag lage!

SILSILA MOVIE SHAYARI






Main aur meri tanhai
Aksar ye batein karte hain
Tum hoti to kaisa hota
Main aur meri tanhai
Aksar ye batein karte hain
Tum hoti to kaisa hota
tum yeh kahti, tum woh kahti
Tum is baat pe hairan hoti
tum us baat pe kitni hasti
tum hoti to aisa hota,
tum hoti to waisa hota
Main aur meri tanhai ,
aksar yeh baten karte hain

AASHIQUI 2 MOVIE SHAYARI


Dil ko zuban
Aankhon ko sapne mil gaye
Aashiqui mein zindagi ko
Mayne mil gaye…..
Tumhari ishq se bani hoon
Pehle zinda thi ab jee rahi hoon…..
Yeh zindagi chal to rahi thi,
Par tere aane se maine jeena suru kiya,
Aur ab taqdir yahi hai,
Ke tere har ek khawab ko pura karu,
Tujhe zindagi doon.
Duniya ke sabse behtareen aur mashoor kalakar woh log hote hai
jinki apni ek ada hoti hai …
woh ada joh kisi ki nakal karne se nahi aati …
woh ada joh unke saath janam leti hai.

GARV – MOVIE SHAYARI

Tu goli lena kaise pasand karega …
Pani ke saath,
Sode ke saath,
Whiskey ke saath …
Yah phir direct
Paiso ke liye aatankwadi ladte hai, sipahi nahi …
Sipahi sirf apne vatan ki izzat aur mulk ki hifazat ke liye ladte hai
Kyunki bhagwan ek hi waqt har jagah nahi ho sakte na …
Isliye unhone maa ko banaya hai
Mukadma sabooto aur gawaho se lada jaata hai …
bhashan-baazio, nautanki aur tamasho se nahi
Jodhenge todhenge,
Ladenge ladwaenge,
Dal banayenge bhigadenge …
Par ek roz is kursi par baithke dikhayenge

HUM AAPKE HAIN KAUN – MOVIE SHAYARI

Zindagi ki khasiyat hai yeh kabhi jhukti nahi …
Saanse ruk jati hai magar zindagi rukti nahi
Roop rang mein gori ho chahe kaali ho …
Khushnaseeb woh jija hai jiski saali ho
Bane chahe dushman zamana hamara,
Salamat rahe dostana hamara …
Nah bechre marke bhi hum doston,
Hum mein dosti ki kasam doston …
Pata koi pooche toh kehte hai hum,
Ek dujhe ke dil mein rehte hai hum …
Nahi aur koi thikana hamara,
Salamat rahe dostana ha
Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar Ke,
Nazaren Bichaein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke,
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne Yaar Ke,
Laya Hain Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke

WHATS APP SHAYARI - SON OF SARDAR MOVIE

1. Milan ke bina love story poori nahi hoti …
par joh poori nahi hoti, kya woh love story nahi hoti?
2. Bhichad ke tujhse ab mujhe marna hai …
yeh tajurba issi zindagi mein karna hai..
3. Har khote jaise dikhne waali cheez khoti nahi hoti …
aur har bhook ka ilaaj roti nahi hoti.
4. Woh dil hi kya joh dhadke na …
woh chunni ki kya joh sarke na …
woh soorma ki kya joh rarke na …
te woh yaar hi kya joh yaar ke liye tadpe na..
5. Kuch te aankhan di pardedaari rakh,
chahe pyar tu udhaar hi rakh …
phone toh tu karda nahi hai,
meri jaan missed callan de maari rakh.
6. Daru badi kutti cheez hoti hai …
dosti mein pilao toh yaar deti hai …
dushmani mein pilao toh maar deti hai..
7. Kabhi kabhi mere dil mein sawaal aata hai …
ki agar duniya mein Sardar na hote toh kya hota? …
sorry yaar duniya bekaar bina son of Sardar